Saturday, September 30, 2023

Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Naat Lyrics

LyricsAllahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Naat Lyrics

Are you searching to read Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Naat Lyrics in Urdu or English? you can find complete and verified lyrics written below:

Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhamma

Allahumma Salle Ala Sayyidina
Wa Maulana Muhammadin
Wa Ala Aalihi Wa ASahbihi
Wa Barik Wa Sallim

Sabse Ula Wa Aala Hamara Nabi
Sabse Bala Wa Wala Hamara Nabi
Apne Maula Ka Pyara Hamara Nabi
Donon Aalam Ka Dulha Hamara Nabi

Allahumma Salle Ala Sayyidina
Wa Maulana Muhammadin
Wa Ala Aalihi Wa ASahbihi
Wa Barik Wa Sallim

Lakhon Aaye Yahan Aur Lakhon Gaye
Unche Unche Shahenshah Yaha Na Rahe
Kitne Diye Jale Jalke Fir Buj Gaye
Kya Khabar Kitne Taare Khile Chhup Gaye
Par Na Dube Na Duba Hamara Nabi

Allahumma Salle Ala Sayyidina
Wa Maulana Muhammadin
Wa Ala Aalihi Wa ASahbihi
Wa Barik Wa Sallim

Jinke Talwon Ka Dhowan Hai Aabe Hayat
Hai Wo Jaane Masiha Hamara Nabi
Khalk Se Auliya Auliya Se Rusool
Aur Rasoolon Se Aala Hamara Nabi
Kaun Deta Hai Dene Ko Munh Chahiye
Dene Wala Hai Saccha Hamara Nabi
Ghamzadon Ko Raza Muzda Dijiye Ke Hein
Bekason Ka Sahara Hamara Nabi

Allahumma Salle Ala Sayidina
Wa Maulana Muhammadin
Wa Ala Aalihi Wa ASahbihi
Wa Barik Wa Sallim

Jab Husna Tha Unka Jalwanuma
Anwaar Ka Aalam Kya Hoga
Har Koi Fida Hai Bin Dekhe
Deedar Ka Aalam Kya Hoga

Kadmon Mein Jabee Ko Rehme Do
Chehre Ka Tasawwur Mushkil Hai
Jab Chand Se Badh Kar Aedi Hai
To Rukhsar Ka Aalam Kya Hoga

Allahumma Salle Ala Sayyidina
Wa Maulana Muhammadin
Wa Ala Aalihi Wa ASahbihi
Wa Barik Wa Sallim

Fazle Rabbul Ula Aur Kya Chahiye
Mil Gaye Mustafa Aur Kya Chahiye
Damane Mustafa Jinke Hathon Mein Hai
Unko Roze Jaza Aur Kya Chahiye

Hamko Apni Gulami Ki Dede Sanad
Bas Yahi Izzato Martaba Chahiye
Bharke Jholi Meri Mere Sarkar Ne
Muskura Kar Kaha Aur Kya Chahiye

Allahumma Salle Ala Sayidina
Wa Maulana Muhammadin
Wa Ala Aalihi Wa ASahbihi
Wa Barik Wa Sallim

Mukh Chand Badar Sha Shani Aye
Matthe Chamakdi Laat Noorani Aye
Kali Zulf Te Akh Mastani Aye
Makhmoor Akhihin Madh-Bhariyan

Is Surat Nu Mein Jaanakhan
Jaanakhan Ke Jaan Jahanakhan
Sach Aakhan Te Rab Di Nishan Aakhan
Jis Shan Ko Shana Sab Badhiyan

Sub’han Allah Ma-Ajmal-Ka
Ma-Ahsanaka Ma-Akmal Ka
Kitthe Mehre Ali Kitthe Teri Sana
Mushtak Akhiyan Kitthe Janiyan

Allahumma Salle Ala Sayyidina
Wa Maulana Muhammadin
Wa Ala Aalihi Wa ASahbihi
Wa Barik Wa Sallim

More From Author

error: Content is protected !!